-->

Killer Tips Urdu Mein new

Advertisemen

Killer Tips Urdu Mein

Hum jab blog me new post likhtay hai to hume iski puri malomat honi chahiye ki kis tarah ki post ko search jaldi show karta hai. new blogger ke liye SEO friendly post likhne ki malomat bahut hi jaruri hai. kyuki isse hum kisi bhi post se 40% or jyada traffic pa saktay hai. aaj is post me hum isi ke bare me bat karne wale hai.
10 killer tips to make seo post

Jab maine blog par post karna start kiya tha to mujhe bhi iski malomat nahi thi. but jab iske bare me pata chala to mujhe apne blog ki sari post edit karni padi. aaj jab mai iske bare me jan chuka hu to apna experience aapke sath share kar raha hu. aasha karta hu aapko is post me kuch na kuch naya sikhne ko jarur milega.

Blogger google ka free platform hai apne vichar logo ke sath share karne ka. bahut se blogger par blog banate hai. unme se kuch log to wordpress par migrate kar lete hai or kuch blogger ki free service ko hi use kartay hai. internet par ayse bahut se blogger mil jayenge. ab humara sawal ye hai ki blogger post ko Search engine frienly kaisay banate hai to iske liye aapko kuch step follow karne hoge. jinme se kuch ke bare me aapko yaha bta raha hu.

Blog Post Ko SEO Friendly Banane ki 10 Killer Tips


Jab mai blog SEO ke bare me post karta hu to mujhe ye dar rahta hai ki kahi kuch galat na ho jaye. kyuki SEO ke bare me jara si galat malomat kisi blogger ka nukshan karti hai. isliye mai SEO ke bare me kuch bhi apni taraf se nahi likhta.

1 – Post URL link:


Permalic ka post ko search engine ranking me lane ka sabse ahem role hota hai. magar permalink use karne ka bhi tarika hota hai. jinhe follow karke post ki ranking or badhai ja sakti hai.

permalink 50 characaters se jyada ka na ho.
post title me se stop words ko remove kar de. [exap; A, An, The]
permalink me kam se ka mek keywords jarur hona chahiye.
add permalink in blogger

2 – Use Keyword in Post:


Keyword seo ranking ke liye sabse jyada important hote hai. search engine keyword par sabse pahle dhyan deta hai. post likhtay samay post se relate populer keyword jarur use karay. but ek hi keyword ko 10 bar se jyada repeat na karay. post keyboard post title se related hona chahiye. jisse search engine keyword se post ka jaldi index kar sake.

Computer Keyboard Ke Top 15 Shortcuts Jo Bana De Aapka Kaam Aasan

3 – Blogspot Label :


Label post ko dusri posts se jodne ka kaam karti hai. post likhtay waqt 1-2 label (tags) add karay. agar aap blog ki har post me 1-2 label use kartay hai to visitors post me select label se or bhi post pad sakta hai. jaise aap blogging ke bare me post kar rahe ho to uys post me blogging ya blog label choone, ab jab koi visitors is post ko padega . or use aapki post pasand aayegi to wo aysi or bhi post padna chahega. so label par click karke visitors aasani se dusri post pad saktay hai.

4 – Related Post:


aapne dusro ke blog me dekha hoga ki post ke niche 3-6 tak related post hoti hai. agar aapke blog me nahi to aap aysi template use karay jisme related post ka option ho. kyuki visiotrs post ko open karke sabse pahle related post ko dekhta hai ki koi isse bhi achi post mil jaye. visitors ko ek post par dusri posts par le jane ka ye sabse acha tarika hai.

Blog Post Publish Karne Ke Bad Use Promote kaisay karay

5 – Populer Post Title:


blog ki traffic badhane or search engine ranking me lane ka ye kargar tarika hai. jaha tak ho sake ayse topic par post karay jo search engine me sabse jada search ki jati ho or us topic par bahut kam post ki gayi hai. iske liye aap ek bar post topic ko  google me search kar ke dekh saktay ho ki isse related kitni post pahle se internet par mojud hai.

6 – Customization Image:


Search engine images ko sabse pahle index karta hai. iske bare hum alleady malomat share kar chuke hai ki Blogger Images Ko SEO Friendly kaisay Banaye. post ki har image mealt tag and title tag add karay. image ka size or format post ke hisab se select karay. jisse post jaldi open ho.

7 – Meta Tags:


post likhtay samay post ko search engine me kaisay show karna hai
iske liye har post me search description add karay. seaerch description me 160 words me post ke bare me likhe jisse visitors us par click karke aapki site par aa sake. SEO ke liye meta tag bahut jaruri hai. iski details me malomat ke liye ye post padiye. Blogger Ki Har Post Me Search Description Enable kaisay karay

8 – Other Post Links:


Post me kam se kam 2-5 dusri post ka link add karay. isse visitotrs ko or bhi post padne ka mouka milta hai. har ek success blogger ise follow karta hai. in my case aap meri har post me dusri post ke link dekh saktay hai. isse aapko kitna fayda hoga. iske bare me details se btane ki jarurat nahi hai.


9 – Comments Section:


Bahut se blogger comments ko off kar dete hai jo ki SEO ke liye bilkul galat hai. blogspot ki bhi total comment SEO frienly hoti hai. ayse me agar koi aapki post ki comment se related word bhi search  engine me search karta hai to search engine aapki us post ko show karta hai. yani comment ek free way hai post ko or jyada SEO friendly banane ka jise enable karne ke liye aapko jor de kar suggest karunga.

Blogger Me Recent Comments (With Avtar) Widget kaisay Add kartay Hai

10 – Request to Visitors:


“aapko ye post kaisi lagi, is post ko share jarur karay, blog ko subscribe karay, social media par contact karay, post ke bare me comment karay.” post ke last me visiotrs se post ko share karne ke liye request karay. kyuki Social network par share ki gayi post search engine bahut jaldi index karta hai. agar koi aapke request ko accept karke aapki post ko share karta hai. isse aapko or bhi visitors milte hai.

Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya karay Full Guide
Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Urdu
Blogpost Vs WordPress Kounsa Platform Behatar Hai

I hope is post me aapko blogspot SEO ke bare me achi malomat mili hogi. mai aapko suggest karunga ki jab aap blogging ko ache se samajh jaye to WordPress par migrate kar le. yaha par aapko wordpress ke bare me kuch malomat mil jayegi.


Comments and share
Advertisemen