-->

Android Mobile Ko Root Kaise Krte hn

Advertisemen

Posted By" Numan ijaz

ANDROID MOBILE KO ROOT KAISE KARE (7 METHOD)

Hello friends mai aaj apko batunga ki kaise bina computer ke Android Mobile ko root kar sakte hai. Bahut se android user mobile ko root karne se darte hai, Unhe lagta hai mobile root karne se unke mobile ki warranty khatam ho jayegi. Dosto mene apni life me bahut sare mobile ko root kiya hai,usme aaj tak koi problem nahi aya hai. Root karne se apke mobile me bahut sare features badh jate hai.Mai apko kuch aise apps ke bare me batunga jisse app asani se apne android mobile ko root kar sakte hai.Framroot,Vroot,z4root,kingroot,towelroot etc. Ye sare apps bina computer ke apke mobile ko root kar sakta hai.

PC ke bina Android Phone ko root kare


Aaj kal bahut se log alag alag type ke apps use kar rahe hai,Us apps ko use karne ke liye phone ka root hona bahut jaruri hai. Kuch android user ke pas PC nahi hota hai. Islye mai aaj apko ye post se batunga ki kaise bina computer ke aap Apne android mobile ko root kar sakte hai.

Root kya hota hai.


Root ek experimental tarika hai,Jisse aap apne android smartphone ko jaisa chahe use kar sakte hai.Ab mai apko root karne ka advantage ( fayda ) or disadvantage (nuksan) bata raha hu.



Android Mobile ko Root karne ke Advantage


Aap apne mobile me bahut kuch asani se change kar sakte hai.

Mobile ka internal memory or RAM bhi badha sakte hai.

Root karne ke baad aap kisi bhi apps ko phone memory se memory card me move kar sakte hai.

Mobile Ka CPU performace acha ho jayega.

Battery life bhi achi ho jayegi.

Apke phone me pahle se jo apps hai usye bhi uninstall kar sakte hai.



Android Device ko Root karne ke disadvantage



Apka phone Dead ho sakta hai,matlb ki kabhi bhi on nahi hoga.

Ye ek illegal method hai ,Isi wajah se apke phone ki warranty khatam kar di jayegi.Islye root karne se pahle soch le.

Ek bar root karne ke baad aap apne mobile ko OTA process se updates nahi kar sakte hai.Agar apka rooted hai toh ZIP file ka use karke apne mob ko Updates kare.

Root karne ke Google wallet app install nahi hoga.


Android phone ko bina pC ke root karne se pahle kuch bate jaruri hai:


Apke mobile ki battery minimum 60% charge honi chahye

Apke phone me ‘unkown source’ enable hona chahye (Setting>>Security>>Unkown source)

Apne mob ka sms contact or app backup bana le.


Konse Apps se Android mobile ko root kar sakte hai:




1. Framaroot: 


Ye android root ke liye sabse acha app hai.Framaroot apke android mobile ko kuch hi second me root karta hai. Framaroot konse android device ko root karta hai check kare.

Download kare Framaroot
                            

2. Vroot:


 Vroot use karke mene apne swingtel android mobile ko root kiya tah. Ye bahut hi acha app hai root karne ke liye islye mene isye 2nd number pe rakha hai.

Download Vroot

3. Z4root 


Ye ek bahut useful app hai jisye aap 2 method se mobile root kar sakte hai. Agar aap china mobile use kar rahe hai toh ye apke liye best hai. Z4ROOt 2 method se android mobile ko root karta hai.

a. Temproray root : Agar app temproray root karte hai toh mobile ko restart karne ke baad root khatam ho jayega.
b. Permanent root : Agar aap permanent root karte hai toh ye tb tak rahega jab tk aap apne android ka root khud se nahi unroot karenge.

Download Z4root

4. CF ROOT : 


Agar aap Samsung mobile user hai toh ye application apke liye hai,Samsung mobiles phone ko asani se Root kar sakte hai.

Download CF Root

5. KingRoot :

 Ye kuch kuch Vroot se milta hai,Kingroot bahut se android device ko root kar sakta hai. Ye apke MTK phones ko perfect root karta hai.

Download Kingroot


6. Towelroot : 


Towel Root bhi root karne ka ek application hai. TowelRoot 4.4.2 kitkat android smartphones ko root karta hai. Ye one click root karta hai.

Download Towelroot

7. Kingoroot :


 Agar apke pas computer nahi hai toh ye bhi ek acha app hai jisse mobile ko root kar sakte hai, Apko kingoroot se android mobile ko root karne ke liye Internet ki jarurat paregi. Kingoroot app ka size sirf 1.1 mb hai.

Download Kingoroot | Mirrior Link



Mobile Phone root karne ke alternate method :



Dosto agar upar diye gaye kisi bhi apps se apka phone root nahi ho paya hai toh nirash mat ho, Mai apko ek aur acha tarika bata raha hu jisye asani se mobile ko root kiya ja sakta hai.

 
1. Apne phone ke setting me jaye

2. “About Phone “ pe click kare.

3. Ab mobile ka model number dikhega.

4. Google pe jake search kare “ how to root mobile device name without Pc" . Mobile device name ki jagah aap apne phone ka model number likhe.

5. Google apko kuch sites ke name batyega jisye follow karke aap apne mobile ko root kar sakte hai.


Busybox use karke Android mobile ko root kare


Upar ke sabhi method fail ho jaye toh mai apko ek or application ke bare me bata raha hu ,Iske help se aap koi bhi mobile root kar sakte hai.


Step By step Guide android mobile ko Busybox se root karne ke liye.



1. Apne android me Busybox install kare.

2. Ab Busybox app open kare.Open karne ke baad apko Root karne ke liye kaha jayega.

3. Root ko Grant kare.Ab apka phone scan hoga.

4. Ab install pe click kare, phir Apke phone busybox install hona start ho jayega.

5. Ab apka android mobile root ho chukka hai.


Apka phone root hai ya nahi kaise verify kare :



Root karne ke baad aap check karna chahte hai ki apka phone root hua hai ya nahi .Iske liye apko kuch steps follow karne honge


1. Apne phone me Root Checker app install kare.

2. Download karne ke baad ,App ko open kare.

3. Super User permission ko garant kare.

4. Apko agar ye message show kare “Congratulation , your Phone is rooted" toh apka phone root ho chukka hai.


Android SmartPhone ko unroot kaise kare:


Upar mene bataya ki android phone ko root kaise karte hai,Ab mai batunga root android device ko unroot kaise karte hai.

1. Sabse pahle apne Android mobile me Super su install kare.

2. Super Su open kare,Aur App ke Settings me jaye. Apko waha bahut sare option dikhenge.

3. Apko ek option dikhega “ Full Unroot” ka. Full Unroot pe click kare.

4. Continue pe click kare.Ab android device ko restart kare.


Apka phone unroot ho chukka hai.

Last words

Ye article apke android device ke liye bahut useful hai, Aap android device ko upar ke kisi bhi method se roit kar sakte hai, Android phone ko unroot karne ka bhi method mene bataya hai. Umeed krta hu ye apko post appko android device ko bina computer ke root krne me help karega.

⚠⚠⚠Warning⚠⚠⚠⚠
Post ko copy na kro,
AGR COPY PAST KI,
TO YAHAN PROTECT LAGAYA HE,
APKA WAPSITE AND ADSENSE DISABLE HOJAYE GA,
Advertisemen